Jana tha Ganga par prabhu Kevat ki naav chade, (2)Avadh chod prabhu van ko ayee, Siya Ram Lakhan Ganga Tat ayee,
Kevat man hi man harshaye, ghar baithe parbhu darshan payee,
Haath jod kar prabhu ke aage kevat magan khade
Prabhu bole tum naav chalao, par hame kevat pahuchao,
Kevat kehata suno hamari Charan dhul ki maya bhari,
Main garib naya meri mahi na hoi pade
Kevat daud ke jal bhar laya, Charan dhoye charanamrit paya,
ved granth jis ke yaash gaye kevat unko naav chadaye,
barse phool gagan se aise bhakt ke bhaag bade
Chali naav Ganga ki Dharaa, Siya Ram Lakhan ko paar utara,
prabhu dene lage naav utrai kevat kahe nahi Raghurai,
paar kiya maine Tumko, Ab Tu mohe paar kare
Mati Kahe Kumhar Se Tu Kyo Rondhe Moy
Ek Din Aesa Aayega Mai Rondhu Ki Toy
Ek Din Aesa Aayega Mai Rondhu Ki Toy
Ram Bulva Bhejaya Diya Kabira Roy
Ram Bulva Bhejaya Diya Kabira Roy
Jo Sukh Sadhu Sang Me So Baikuth Na Hoye
Jo Sukh Sadhu Sang Me So Baikuth Na Hoye
Jo Ghar Guru Bhakti Nahi Sant Nahi Mehman
Ta Ghar Yam Dera Diyaya Jeevat Bhaya Masan
Kabira Soyi Peer Hai Jo Jane Per Peer
Kabira Soyi Peer Hai Jo Jane Per Peer
Jo Per Peer Jane Nahi So Kafir Be Peer
Guru Bin Mala Ferta Guru Bin Karta Taan
Guru Bin Sab Nishfal Gaya Boojhoo Ved Puran
8 pahar 64 ghadi Mere Aur Na Koe
Naina Mahi Tu Base Need Ka Thaur Na Hoye
KabiraNeed Ka Thaur Na Hoye
Chidi Chooch Bhar Le Gayi Nadi Na Ghatiyo Neer
Dan Diye Dhan Na Ghate
Rang de chunaria(2)
Shyam Piya more Rang de Chunaria (2) ||1||
Aisi rang de ke rang nahi choote
Aisi rang de rang de rang de ke rang nahi choote
Dhobiya dooye chahe ye sari umariya (2)
Oh shyam piya more rang de chunaria
Shyam piya more rang de chunaria ||2||
Rang de (5)
Rang de chunaria
Lal na rangavu mei
Hari na rangavu
Apne hi rang me rang de chunaria (2) ||3||
Oh shyam piya more rang de chunaria
Shyam piya more rang de (chunaria) (6)
Rang de (9)
Rang de chunaria
Bina rangaye mai to ghar nahi javongi
Bina… rangaye mai to ghar nahi… javongi
Pa pa da nida dapa
Pa da ma pa gama pa
Pa da ma pa ga ma ri
Ga ma riga sa ni sa
Shyam piya more rang de chunaria
Mira ke prabhu giridhar nagar
Jal se patla koun hai
Koun bhumi se bhari
Koun agn se tej hai
Koun kajal se kali
Jal se patla… patla (3)
Jal se patla jnan hai
Aur paap bhumi se bhari
Krodh agn se tej hai
Aur kalank kajal se kali
Mira k prabhu giridhar nagar
Prabhu charanan me hari charanan me
Shyam charanan me lagi nazariya
Oh Sham piya more
Shyam Piya More Rang de Chunaria (2)
Aisi rang de ke rang nahi choote
Dhobiya dooye chahe ye sari umariya (2)
lal na rangavu mei,hari na rangavu
Apne hi rang me rang de chunaria (2)
Bina rangaye mai to ghar nahi javongi
Bina…. rangaye mai to ghar nahi.. javongi
Beet hi jaye jahe, ee sari umariya
Mira ke prabhu giridhar nagar
Prabhu charanan me hari charanan me
Shyam charanan me lagi nazariya
Oh Sham piya more